Zindagi ke melay main
Khwahishon ke railay main
Tum se kia kahen jan'an, is qadar jhamailay main
Waqt ki rawaani hai, bakht ki giraani hai
Sakht be zameeni hai, sakht lamakaani hai
Hijr ke samandar main
Takht aur takhte ki
Aik hi kahani hai
Tum ko sunani hai
Baat go zara si hai
Baat umr bhar ki hai (umr bhar ki baaten kabb do ghari main hoti hain
Dard ke samandar main
An ginat jazeere hain, beshumaar moti hain)
Aankh ke dareeche main
Tum ne jo sajaya tha
Baat us diaay ki hai
Baat us gilay ki hai
Jo lahoo ki khilwat main choar bann ke aata hai
Lafz ke faseelon main toot toot jaata hai
Zindagi se lambi hai, baat ratt jagay ki hai
Rastay main kese ho
Baat takhliyay ki hai
Takhliyay ki baaton main guftugo izaafi hai
Pyaar karne walon ko ik nigaah kaafi hai
Ho sake toh sun jaao aik din akele main
Tum se kia kahen janan.. is qadar jhamailay main.

No comments:
Post a Comment