Feb 23, 2008

Selections from Faiz.

It all rings true. Somehow. All of it.

Hum ke thehrey ajnabi itni mulaqaton ke baad
Phir baney gay aashna kitni madaraton ke baad
Kab nazar mein aye gi be-dagh sabze ki bahaar
Khoon ke dhabay dhulein gay kitni bersaton ke baad
They bohat be-dard lamhay khatm e dard-e-ishq ke
Theen bohat be-mehr subhein mehrbaan raton ke baad
Dil to chaaha per shikest-e-dil ne muhlat na di
Kuch gilay shikway bhi ker latey manajaton ke baad
Un se jo kehne gaey they Faiz jaan sadqa kiey
Unkahee hi reh gai wo baat sub batoon k baad

Kab yaad mein teraa saath nahin kab haath mein teraa haath nahin
Sudd shukr ke apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahin
Mushkil hain agar haalaat vahaan dil bech aayen jaan de aayen
Dil vaalo kochaa-e-jaanaan mein kyaa aise bhi haalaat nahin
Jis dhaj se koi maqtal mein gayaa VO shaan salaamat rahati hai
Ye jaan to aani jaani hai is jaan ki to koi baat nahin
Maidaan-e-vafaa darbaar nahi yaan naam-o-nasab ki poochh kahaan
Aashiq to Kisi kaa naam nahin kuchh ishq Kisi ki zaat nahin
Gar baazi ishq ki baazi hai Jo chaaho lagaa do dar kaisaa
Gar jeet gae to kyaa kahanaa haare bhi to baazi maat nahin

ham paravarish-e-lauh-o-qalam karate rahe.nge
jo dil pe guzaratii hai raqam karate rahe.nge
asbaab-e-Gam-e-ishq baham karate rahe.nge
viiraanii-e-dauraa.N pe karam karate rahe.nge
haa.N talKhii-e-ayyaam abhii aur barhegii
haa.N ahal-e-sitam mashq-e-sitam karate rahe.nge
ma.nzuur ye talKhii ye sitam ham ko gavaaraa
dam hai to madaavaa-e-alam karate rahe.nge
maiKhaanaa salaamat hai to ham surKhii-e-may se
tazziin-e-dar-o-baam-e-haram karate rahe.nge
baaqii hai lahuu dil me.n to har ashk se paidaa
rang-e-lab-o-ruKhsaar-e-sanam karate rahe.nge
ek tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ek arz-e-tamannaa hai so ham karate rahe.nge

2 comments:

david santos said...

Hello, Majaz!
Thanks for your posting and have a good weekend

Majaz said...

I have a hard time figuring out if this guy's a real dude or a spammer. :S